Teri Tasweer Me Woh Rang Bhare Hai Maine;
Ki Log Dekhenge Tujhe Aur Pehachanenge Mujhe!
Teri Saans Ke Saath Chalti Hai Meri Har Dhadkan;
Aur Tum Puchte Ho, Mujhe Yaad Kiya Ya Nahi!
Humein Ye Dil Haarne Ki Bimari Na Hoti,
Agar Aapki Dil Jeetne Ki Ada Itni Pyaari Na Hoti!
Khuda Ka Shukar Hai Usne Khwab Bana Diya,
Warna, Tamanna Tum Se Milne Ki Kabhi Poori Nahi Hoti!
Khamoshi Mein Jeene Ka Lutf Wahi Utha Sakta Hai;
Jo Fanaa Ho Chuka Ho, Ruhani Ishq Mein!
Tamaam Rishton Ko Main Ghar Pe Chhod Aaya Tha;
Phir Us Ke Baad Mujhe Koi Ajnabi Nahi Mila!
Nafrat Karoge To Adhura Qissa Hun Main;
Mohabbat Karoge To Tumhara Hi Hissa Hun Main!
Tumhari Zidd Bemani Hai Dil Ne Haar Kab Maani Hai;
Kar Hi Lega Vash Mein Tumhein Yeh Iski Aadat Purani Hai!
Rehte Ho Aaj Bhi Sanson Mein Tum,
Yaadon Mein Tum Kitabon Mein Tum,
Jab Bhi Kalam Uthata Hun Likhne Ke Liye,
Ban Kar Ghazal Aa Jate Ho Lafzon Mein Tum!
Kuch Is Tarah Se Wo Meri Baaton Ka Zikar Kiya Karti Hai;
Suna Hai Wo Aaj Bhi Meri Fikar Kiya Karti Hai!



