Darta Hun Kehne Se Ki Mohabbat Hai Tumse,
Meri Zindagi Badal Dega, Tera Iqrar Bhi, Inkaar Bhi!
Aap Khush Ho To Hum Khush Hain,
Aap Hum Par Hak Jatate Raho To Hum Khush Hain,
Hum Yeh Nahi Kehte Ki Baat Karo Humse,
Bas Yun Hi Karte Raho To Hum Khush Hain!
Uski Yeh Masoom Ada Mujhe Bahut Bhaati Hai,
Wo Naraaz Mujhse Hoti Hai Aur Gussa Sabko Dikhati Hai!
Ek Tera Muskurata Chehra Dekh Hum Zindagi Jee Lete Hain,
Kabhi Khafa Mat Hona Humse Kyonki Teri Har Muskurahat Se Hum Apna Dard Bhula Dete Hain!
Jab Se Use Azeez Hui Meri Zindagi,
Main Apni Zindagi Ki Dua Maangne Lagi Hun!
Kaash Aisa Ho Ki Tumko Tumse Chura Lun,
Waqt Ko Rok Kar Waqt Se Ek Din Chura Lun,
Tum Paas Ho To Is Raat Se Ek Raat Chura Lun,
Tum Saath Ho To Is Jahan Se Ye Jahan Chura Lun!
Yeh Dil Hi Jaanta Hai Meri Paak Mohabbat Ka Aalam;
Ki Mujhe Jeene Ke Liye Saanso Kee Nahi Teri Zaroorat Hai!
Kabhi Tanhayi, Kabhi Tadap, Kabhi Bebasi To Kabhi Intezar;
Ye Marz Bhi Kya Khoob Hai Jise Sab Log Ishq Kehte Hai!
Yeh Mana Ke Mohabbat Karna Hai Jurm Magar,
Yeh Jurm Yaaro Baar Baar Karte Hain Hum,
Woh Bewafa Hai Sangdil Hain Jaante Hain Magar,
Unpar Yaaro Aaj Bhi Aitbaar Karte Hain Hum!
Yuhi Aankhon Se Aansu Behte Nahi,
Kisi Aur Ko Hum Apna Kehte Nahi,
Ek Tum Hi Ho Jo Ruk Se Gaye Ho Zindagi Mein,
Varna Rukne Ke Liye Hum Kisi Ko Kehte Nahi!



