Ankhon Se Karen Kya Tunak Aabi Ki Shikayat;
Dil Hi Ke Lahu Se Kabhi Palkon Ko Bhigo Len!
Baqa-e-Dil Ke Liye Jo Lahoo Zaroori Hai,
Isi Tarah Mere Jeevan Mein Tu Zaroori Hai;
Ye Akal Wale Nahi Ahl-e-Dil Samjhte Hain,
Ki Kyuon Sharab Se Pehle Wuzu Zaroori Hai!
Ye Na Thi Hamari Qismat Ki Visal-e-Yaar Hota,
Agar Aur Jeete Rehte Yahi Intezar Hota;
Tere Vaade Par Jiye Hum To Yeh Jaan Jhoot Jana,
Ki Khushi Se Mar Na Jate Agar Aitbar Hota!
Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Kyun Bujh Geya Aawargi,
Is Dasht Mein Ik Shehar Tha, Wo Kiya Hua Aawargi;
Kal Shab Mujhe Be-Shakal Ki Aawaz Ne Chonka Diya,
Maine Kaha Tu Kaun Hai Usne Kaha Aawargi!
Mil Mujh Se Ai Pari Tujhe Quran Ki Kasam,
Deta Hun Tujh Ko Takht-e-Sulaiman Ki Kasam;
Karr-o-Bayon Ki Tujh Ko Kasam Aur Arsh Ki,
Jibril Ki Kasam Tujhe Rizwan Ki Kasam!
*Karr-o-Bayon: Creations other than human beings
Zindagi Kavish-e-Batil Hai Mera Saath Na Chhod,
Tu Hi Ik Umar Ka Hasil Hai Mera Saath Na Chhod;
Log Milte Hain Sar-e-Raah Guzar Jaate Hain,
Tu Hi Ik Hum-Safar-e-Dil Hai Mera Saath Na Chhod!
Kiya Hai Pyaar Jise Hum Ne Zindagi Ki Tarah,
Woh Aashna Bhi Mila Hum Se Ajnabi Ki Tarah;
Kise Khabar Thi Badhegi Kuch Aur Tariki,
Chhupega Woh Kisi Badli Mein Chandani Ki Tarah!
Aur Kya Dekhne Ko Baaki Hai;
Aap Se Dil Laga Ke Dekh Liya!
Ab Us Ka Naam Dil Se Kya Mitana;
Jo Hum Ne Likh Diya Hai Likh Diya Hai!
Koi Samjhe To Ek Baat Kahun;
Ishq Taufiq Hai Gunah Nahi!



