
Ik Lafz-e-Mohabbat Ka Adnaa Ye Fasana Hai,
Simte To Dil-e-Aashiq Phaile To Zamaana Hai!

Jaise Meri Nigaah Ne Dekha Na Ho Kabhi,
Mehsoos Ye Hua Tujhe Har Baar Dekh Kar!

Hum Ne Seene Se Lagaya Dil Na Apna Ho Saka;
Muskura Kar Tumne Dekha To Yeh Tumhara Ho Geya!

Ham Khudaa Ke Kabhi Kabil Hi Na The,
Un Ko Dekha To Khudaa Yaad Aayaa!

Kuch Sitaron Kee Chamak Nahi Jati,
Kuch Yaadon Kee Khanak Nahi Jati,
Kuch Logon Se Hota Hai Aisa Rishta,
Ki Door Reh Kar Bhi Unki Mehak Nahi Jati!

Woh Jaate Jaate Keh Gaye Ki Hum Sirf Khwabon Mein Aayenge,
Hum Ne Kaha Vaada To Karlo, Hum Zindagi Bhar Ke Liye So Jayenge!

Hum Ne Dekha Tha Faqat Shaunk-e-Nazar Kee Khatir,
Yeh Na Socha Tha Ki Tum Yun Dil Mein Utar Jaoge!

Tu Bin Bataye Mujhe Le Chal Kahin,
Jahan Tu Muskuraye Meri Manzil Hai Wahin!

Aap Hi Apni Jafaon Pe Zara Gaur Karen;
Hum Agar Arz Karenge To Shikayat Hogi!
Sehmi Si Nigahon Mein Khawab Hum Jaga Denge,
Sooni Si Rahon Mein Phool Hum Bicha Denge;
Hamare Sang Muskura Kar To Dekhiye;
Har Gham Aapka Hum Bhula Denge!