Ek Baar Dekh Ke Azad Kar De Mujhe;
Main Aaj Bhi Teri Pehli Nazar Kee Qaid Mein Hun!
Uske Siva Kisi Aur Ko Chahna Mere Bas Mein Nahi Hai,
Yeh Dil Uska Hai Apna Hota To Baat Aur Hoti!
Hoti Nahi Qubool Dua Tarq-e-Ishq Kee;
Dil Chahta Na Ho To Zubaan Mein Asar Kahan!
Log Chah Kar Bhi Nahi Padna Chahte Hamari Mohabbat Mein,
Kehte Hain Tum Dil Mein Nahi Rooh Mein Sama Jaate Ho!
Aaine Mein Woh Dekh Rahe The Bahaar-e-Husn;
Aaya Mera Khyal To Sharma Ke Reh Gaye!
Aap Pehlu Mein Jo Baithen To Sambhal Kar Baithen;
Dil-e-Betab Ko Aadat Hai Machal Jaane Kee!
Phir Na Kijiye Meri Gustakh-Nigaahi Ka Gila,
Dekhiye Aap Ne Phir Pyaar Se Dekha Hai Mujhe!
Har Dum Duayein Dena Har Lehza Aahein Bharna;
Un Ka Bhi Kaam Karna Apna Bhi Kaam Karna!
Dil Ne Yun Bhi Kaha Mujhse Hans Kar Kayi Baar;
Tu Khud Pagal Na Ho Jana Mujhe Samjhate Sanjhate!
Kis Kis Ko Haaye Tere Taghaaful Kaa De Jawaab,
Aksar To Reh Gaye Hain Jhuka Kar Nazar Ko Hum;
Allaah Re Wo Aalame Rukhsat Ki Der Tak,
Taakte Rahe Hain Yun Hi Teri Rehguzar Ko Hum!



