
Tujhe Inkar Hai Mujse Mujhe Iqraar Hai Tujhse;
Tu Khafa Hai Mujse Mujhe Chahat Hai Tujhse;
Tu Mayoos Hai Mujhse Mujhe Khushi Hai Tujhse;
Tujhe Nafrat Hai Mujhse Aur Mujhe Pyaar Hai Tujhse!
Aao Be-Parda Tumhein Jalwa-e-Pinhan Kee Kasam;
Hum Na Chedenge Humein Zulf-e-Pareshan Ki Kasam!

Yeh Din Raat Yeh Lamhe Mujhe Achhe Se Lagte Hain;
Tumhein Sochun To Saare Silsile Achhe Se Lagte Hain!
Mohabbat Kee Hawa Jism Kee Dawa Ban Gayi;
Doori Aapki Meri Chahat Kee Saza Ban Gayi;
Kaise Bhulun Aapko Ek Pal Ke Liye;
Aapki Yaad Hamare Jeene Kee Wajah Ban Gayi!

Nigahon Se Wo Is Dil Mein Samaye;
Jab Ashk Bahe To Palko Par Aaye;
Dar Hai Kahin Wo Kho Hi Na Jaye;
Palko Ko Ab Hum Kaise Jhukaye!

Kabhi Alfaaz Bhool Jaun Kabhi Khyaal Bhool Jaun;
Tujhe Is Kadar Chahun Ki Apni Saans Bhool Jaun;
Uth Kar Tere Paas Se Jo Main Chal Dun;
To Jaate Hue Khud Ko Tere Paas Bhool Jaun!

Do Baatein Unse Kee To Dil Ka Dard Kho Geya;
Logon Ne Humse Pucha Ke Tumhein Kya Ho Geya;
Bekarar Aankhon Se Sirf Hans Ke Reh Geya;
Ye Bhi Na Keh Sake Ki Humein Pyaar Ho Geya!
Jab Aap Ka Naam Zuban Par Aata Hai;
Pata Nahi Dil Kyon Muskurata Hai;
Tasalli Hoti Hai Mann Ko Koi To Hai Apna;
Jo Hanste Hue Har Waqt Yaad Aata Hai!
Hue Barbad Magar Phir Bhi Sudhar Na Paye Hum;
Phir Wohi Shayari, Phir Wohi Ishq Aur Phir Wohi Tum!
Chupa Loon Is Tarah Tujhe Apni Baahon Mein,
Ki Hawa Bhi Guzarne Kee Izazat Maange;
Ho Jaun Itna Madhosh Tere Pyaar Mein,
Ki Hosh Bhi Aane Kee Izazat Mange!