
Dil Toot Jata Hai Par Khanak Nahi Hoti;
Har Dhadkan Roti Hai Par Palak Nahi Roti;
Mohabbat Naam Hai Khuda Kee Bandagi Ka;
Jo Sharton Pe Mile Woh Mohbbat Nahi Hoti!
Kaha Ye Kisi Ne Kee Phoolon Se Dil Lagau Main;
Agar Tera Khayal Na Sochun To Mar Jaun Main;
Maang Na Mujhse Tu Hisaab Meri Mohabbat Ka;
Aa Jaun Imtihan Pe To Hadd Se Guzar Jaun Main!

Maana Ke Mujhse Woh Khafa Rahe Honge;
Ho Sakta Hai Woh Mujhe Aazma Rahe Honge;
Hum Utni Hi Shiddat Se Yaad Karenge Unhein;
Jitni Shiddat Se Woh Humein Bhula Rahe Honge!

Nahi Jo Dil Mein Jagah To Nazar Mein Rehne Do;
Meri Hayaat Ko To Apne Asar Me Rehne Do;
Main Apni Soch Ko Teri Gali Me Chhod Aaya Hun;
Mere Wazood Ko Khwabon Ke Ghar Mein Rehne Do!

Wo Mohabbtein Jo Tumhare Dil Mein Hain;
Usse Zubaan Par Lao Aur Bayan Kar Do;
Aaj Bas Tum Kaho Aur Kehte Hi Jao;
Hum Bas Sunein Aise Be-Zuban Kar Do!

Wo Jiske Saamne Humne Ye Sar Jhukaya Hai;
Khuda Nahi Hai, Par Humne Usko Khuda Banaya Hai!
Ab To Kar Lijiye Aap Samaat Qisaa Ishq Ka;
Aah Tak Le Aayein Hain Hum Mukhtsir Karte Hue!
Translation:
Samaat = Hear
Mukhtasir = Shorten

Jis Tarah Ragon Mein Khoon Rehta Hai;
Ussi Tarah Mujhe Teri Chahat Ka Junoon Rehta Hai;
Zindagi Kee Har Khushi Mansoob Hai Tumse;
Baat Ho Tum Se To Dil Ko Sukoon Rehta Hai!
Tumhari Khamoshi Hamari Aadat Hai;
In Dooriyon Mein Bhi Hamari Chahat Hai;
Hamari Zindagi Agar Khoobsurat Hai;
To Uski Wajah Bhi Aapki Muskurahat Hai!

Aaine Mein Wo Dekh Rahe The Bahaar-e-Husn;
Aaya Mera Khayal To Sharma Ke Reh Gaye!