Shayari



Zaroori Ye Nahi, Ki Ishq Mein Tum Taj Banwao;
Zaroori To Ye Hai Ki, Bas Ishq Mein Tum Khud Mit Jaao!

Aakhon Ke Saamne Har Dam Aapko Paya Hai;
Dil Mein Bas Aapko Hi Basaya Hai;
Aapke Bina Hum Jiyenge Bhi To Kaise;
Bhala Jaan Bina Bi Koi Jee Paya Hai!

sms

Uski Khamoshi Se Mujhe Darr Lagta Hai;
Door Na Ho Jaye Aisa Kyon Lagta Hai;
Duniya Se Use Cheen Lene Ka Haunsla To Hai Mujh Mein;
Lekin Wo Saath Na Dega Aisa Kyon Lagta Hai!

sms

Is Ishq Mein Wo Misaal Banayenge Hum;
Aankhein Band Karoge To Nazar Aayenge Hum;
Bhar Denge Itna Pyaar Aapke Dil Mein Ki;
Sab Se Pehle Yaad Aayenge Hum!

sms

Jabse Is Dil Par Tumhara Naam Aaya Hai;
Ek Suroor Sa Har Waqt Hum Pe Chhaya Hai;
Na Jaane Ye Pyaar Ka Nasha Hai Ya Kuch Aur;
Har Jagah Humein Bas Aapka Hi Chehra Nazar Aaya Hai!

sms

Aankhon Mein Rehne Walon Ko Yaad Nahi Karte;
Dil Mein Rehne Walon Kee Baat Nahi Karte;
Hamari To Rooh Mein Bas Chuke Hain Aap;
Tabhi To Milne Kee Hum Fariyad Nahi Karte!

sms

Kya Kahe Kuch Kaha Nahi Jaata;
Dard Milta Hai Par Saha Nahi Jaata;
Pyaar Ho Geya Hai Iss Kadar Aapse;
Ki Bin Dekhe Ab Raha Nahi Jaata!

Main Aapke Pyaar Mein Kuch Aisa Kar Jaunga;
Ban Kar Khushbu Hawa Mein Bikhar Jaunga;
Bhulna Chaho To Saanson Ko Rok Lena;
Saans Loge To Main Dil Mein Utar Jaunga!

Dard Kya Hota Hai Batayenge Ek Roz;
Pyaar Kee Ghazal Sunayege Kisi Roz;
Thi Unki Zidd Ki Main Jaun Unko Manane;
Mujhko Yeh Veham Tha Wo Bulayenge Kisi Roz!

sms

Yun Bhi Hota Hai Ki Yak Dam Koi Achha Lag Jaye;
Baat Kuch Bhi Na Ho Aur Dil Mein Tamasha Lag Jaye!

End of content

No more pages to load

Next page