Bacha Kar Sajda Say Tum Na Jo Paon Kheech Liye;
Isi Nishaan Par Rakh Diye Jabeen Na Kahi!
Aaj Badi Der Tak Woh Mohabbat Dikhata Raha Mohsin;
Na Jane Kyun Laga Ke Woh Mohabbat Chhod Jaega!
Dil Ko Us Raah Par Chalana Hi Nahi;
Jo Mujhe Tujh Se Juda Kar De!
Kon Kehta Hai Nafrton Mein Dard Hai 'Mohsin';
Kuch Mohabbatein Bhi Badi Aziyat Naak Hoti Hain!
Aur Zyada Bhadkaatey Ho Tum To Aag Mohabbat Ki;
Sozish-e-Dil Ko Aye Ashko, Kya Khaak Bhujhana Seekhey Ho!
Translation:
Sozish-e-Dil = Heartbreak;
Ashko = Tears
Deedar Ki Talab Ho Toh Nazarein Jamaye Rakhiye;
Kyunki Naqaab Ho Ya Naseeb, Sarakta Zaroor Hai!
Wo Mohabbaton Ke Sauday Bhi Ajeeb Kerta Hai 'Mohsin'Íž
Bas Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai!
Abhi Kamsin Ho, Rehne Do, Kahin Kho Do Gi Dil Mera;
Tumhare He Liye Rakha Hai, Le Jaana Jawaan Ho Kar!
Aankh Rakhte Ho To Us Ankh Ki Tehreer Padho;
Mu'n Se Iqraar Na Karna To Hai Aadat Us Ki!
Unke Dekhe Se Jo Aa Jaati Hai Munh Par Raunaq;
Woh Samajhte Hain Ke Beemaar Ka Haal Achcha Hai!



