Aap Ke Baad Yeh Mehsoos Hua Hai Humko;
Jeena Mushkil Nahi Aur Marna Bhi Dushwaar Nahi!
Aankh Rakhte Ho To Us Aankh Kee Tehreer Parho;
Munh Se Iqraar Na Karna To Hai Aadat Uss Kee!
Tere Didar Ki Talab Rakhta Tha;
Tujhse Pyaar ki Chahaht Rakhta Tha;
Tujhse Izhaar Ki Bhi Sada Rakhta Tha;
Rakh Na Paya To Sirf Izhaar-e-Junoon!

Khushi Ke Motiyon Mein Labh Woh Dabaate Rahe;
Aankhon Ko Kabhi Jhukaate Aur Kabhi Milate Rahe;
Labh Pe Na Woh Laaye Kabhi Ikraar Aur Na Inkaar Hi Kiya;
Tamam Umar Ishq ki Justju Main, Apni Aarzoo ko Rulaate Rahe!
Translation:
Khushi ke Moti: Teeth

Chaandni Raat Ke Khamosh Sitaron Ki Qasam;
Dil Mein Ab Tere Siwa Koi Bhi Aabad Nahi!

Wo Mohabbaton Ke Saude Bhi Ajeeb Kerta Hai Mohsin;
Bas Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai!

Dil Ko Kya Ho Gaya Khuda Jane;
Kyon Hai Aisa Udas Kya Jane;
Keh Diya Main Ne Hale Dil;
Apna Is Ko Tum Jano Ya Khuda Jane!

Saray Raah Jo Unsay Nazar Mili;
To Naksh Dil Kay Ubhar Gaye;
Hum Nazar Mila Kar Jhijag Gaye;
Vo Nazar Jhuka Kar Chale Gaye!

Ghar Se Nikal Pade Hain Awaargi Uthaa Kar;
Hum Ko Yahi Bahut Hai Asbaab Is Safar Mein!
Translation:
Asbaab = Luggage
Shair Kisi Ke Hijr Main Kehnaa Sirf Visaal Kisi Se;
Hum Bhi Kya Hain, Dheyaan Kisi Ka Aur Sawal Kisi Se!