
Kaash Aapki Surat Itni Pyaari Na Hoti;
Kaash Aapse Mulaqat Hamaari Na Hoti;
Sapno Mein Hi Dekh Lete Aapko;
To Aaj Milni Ki Itni Bekarari Na Hoti!

Gulab Ki Mehak Bhi Fiki Lagti Hai;
Kaun Si Khushbu Mujhme Basa Gayi Ho Tum;
Zindgi Hai Kya Teri Chahat Ke Siva;
Yeh Kaisa Khwab Aankhon Ko Dikha Gayi Ho Tum!

Kuchh Socho Toh Tere Khayal Aa Jaata Hai;
Kuchh Bolon To Tera Naam Aa Jaati Hai;
Kab Tak Chupaon Dil Ki Baat;
Uski Har Ada Par Mujhe Pyaar Aa Jaata Hai!

Achha Lagta Hai Tera Naam Mere Naam Ke Saath;
Jaise Koi Subhaa Jurari Ho Kissi Haseen Shaam Ke Saath!

Teri Khushbu Se Waqif Ho Main;
Yeh Andaz Se Kayal Hun Main;
Mujhe Apni Zindagi Ka Har Pal Dede;
Yehi Mere Jinne Ka Tamanna Hai!

Sab Ke Dil Mein Hai Jagah Teri, Jo Tu Raazi Hua;
Mujh Pe Goya Ik Zamaana Mehrbaan Ho Jaeega!

Hamaari Sanso Mein Ek Aahat Apki Bhi Hai;
Dil Ki Dhadkno Mein Ek Gungunahat Apki Bhi Hai;
Anjaan Hai Aap Shayad Iss Raaz Se;
Ki Hamaari Hansi Mein Ek Muskrahat Apki Bhi Hai!

Tu Hi Bata Ae Dil, Tujhe Samjhaon Kaise;
Jisse Chahta Hai Tu, Usse Nazdeek Laun Kaise;
Youn Toh Har Tamanna Har Ehsaas Hai Woh Mera;
Par Uss Ehsaas Ko Yeh Ehsaas Dilaun Kaise!

Tum Ko De Di Hain Ishaaron Mein Ijaazat Maine;
Mangne Se Na Mil Sakun Toh Chura Lo Mujh Ko!
Agar Apna Kaha Tum Aap Hi Samjhe Tau Kya Samjhe;
Maza Kahne Ka Jab Hai, Ik Kahe Aur Doosre Samjhein;
Kalaam-e-Mir Samjhe, Aur Zabaan-e-Meerza Samjhe;
Magar Inn Ka Kaha, Ya Aap Samjhein Ya Khuda Samjhe!