Peete Hain Apne Maze Ke Liye, Khaamkhaan Badnaam Gham Hai,
Poori Botal Pee Kar Dekho, Phir Duniya Kya Jannat Se Kam Hai!
Peete Hai Gham e Duniya Bhulaa Ne Ke Liye, Aur Koi Baat Nahi;
Jannat Main Kahan Gham Hai, Waha Peene Kaa Mazaa Nahi!
Meri Kabar Pe Mat Gulaab Le Kar Aana;
Na Hi Haathon Mein Chiraag Le Kar Aana;
Payasa Hu Main Barso Se Jaanam;
Botal Sharab Ki Aur Ek Glass Le Kar Aana!
Jaam Peene Se Kya Fayda, Shaam Mein Pee Subha Utar Jaayegi;
Arey Peeni Hai To Do Boond Mohabbat Ki Pee, Saari Zindagi Nashe Mein Hi Guzar Jaayegi!
Mai-Khane Mein Kyon Yaad-E-Khuda Hoti Hai Aksar;
Masjid Mein To Zikr-E-Mai-O-Meena Nahi Hota!
Peeta Tha Jiske Saath Wo Saaki Bada Haseen Tha;
Aadi Bana Kar Zaalim Ne Maikhana Badal Liya!
Pehle Sharaab Zeesat Thi Ab Zeesat Hai Sharaab;
Koi Pila Raha Hai Piye Ja Raha Hun Main!
Kyon Intezar Karen Kisi Mehkti Hui Shaam Ka;
Teri Nazron Se Hi Chalakta Hai Nasha Kisi Madira Ke Jaam Ka!
Pi Liya Karte Hain Jeene Ki Tamanna Mein Kabhi-Kabhi,
Kyonki Dagmagana Bhi Zaroori Hai Sambhalne Ke Liye!
Lutf-E-Mai Tujhse Kya Kahun Zaahid,
Haye Kambakht Tum Ne Pi Hi Nahi!