
Nasha Mohabbat Ka Ho Ya Sharab Ka;
Hosh Dono Mein Koh Jate Hai;
Fark Sirf Itna Hai Ke Sharab Sula Deti Hai;
Aur Mohabbat Rula Deti Hai!
Badi Gaur Se Dekh Raha Hu Is Maikhane Ko;
Is Ne Waqt Hi Nahi Diya Sar Jhukane Ko;
Mujhe Marne Se Dar Nahi Lagta Aye "Umar";
Bas Sharm Si Arahi Hai Us Ke Paas Jane Ko!

Lafzon Ke Fasaane Dhondhte Hain Hum Log;
Lamhon Mai Zamaane Dhondhte Hain Hum Log;
Tu Zehar Hi De Sharaab Keh Kar Saaqi;
Jeene Ke Bahaane Dhondhte Hain Hum Log!
Hamesha Yaad Aati Hai Unki;
Aur Mood Ho Jata Hai Kharab;
Tab Hamesha Lekar Baithe Hai Hum;
Ek Hath Me Kalam Aur Ek Hath Me Sharab!
Maikhane Saje The, Jam Ka Tha Daur;
Jam Me Kya Tha Ye Kisne Kiya Tha Gaur;
Jam Me Gum Tha Mere Armano Ka;
Aur Sab Kahe Rahe The Ek Aur, Ek Aur!

Teri Yaad Ne Hamhe Jeene Na Diya;
Chain Se Humko Ab Marne Na Diya;
Hum Peete Hai Teri Yaad Me Zalim;
Par Iss Duniya Ne Hame Peene Na Diya!

Kabhi Yaroon Ki Mehfil Me Baith Ke Hum Bhi Piya Karte The;
Kabhi Yaroon Ke Yaar Ban Ke Hum Bi Jiya Karte The;
Zindagi Ne Ki Bewafi ,Warna;
Hum Bhi Zingadi Se Pyar Kiya Karte The!

Ek Bewaafa Ki Yaad Mein, Maine Jam Utha Liya;
Ek Bewaafa Ki Yaad Mein, Maine Jam Utha Liya;
Fir Lagaya Bread Pe, Aur Fatafat Kha Liya!
Please Note: Saare Aashiq Bevde Nahi Hote, Kuch Bhuke Bhi Hote Hain!
Peenay De Sharab Masjid Mein Baith Kar Galib;
Ya Woh Jagah Bataa Jahan Khuda Maujood Nahi Hai!

Hum Lakh Achhe Sahi Log Kharab Kahte Hai;
Bigda Hua Wo Hamko Nawab Kahte Hai;
Hum To Aise Badnam Ho Gaye Hai Ki;
Paani Bhi Piye To Log Sharab Kehte Hain!