
Badi Azmat Se Khud Saqi Ne Ja Kar Peshwai Ki;
Sharabi Koi Mai-Khana Ke Andar Jab Musin Aaya!
* Musin - Old/Aged

Jab Ghir Jao Dukhon Ke Sailaab Se;
To Doob Jao Saaki Ki Sharab Se!

Itni Pee Jaye Ki Mitt Jaye Main Aur Tu Ki Tameez;
Yaani Ye Hosh Ki Deewar Gira Di Jaye!

Yeh Jaam Hi Ab Mera Ishq Aur Junoon Hai;
Yeh Nashe Ki Aadh Mein Dhokha Nahi Dete!

Kuch Sahi Toh Kuch Kharaab Kehte Hain;
Log Humein Bigda Hua Nawaab Kehte Hain;
Hum Toh Badnaam Hue Kuch Is Kadar;
Ki Paani Bhi Piye Toh Log Sharaab Kehte Hain!

Meri Tabahi Ka Ilzaam Ab Sharab Par Hai;
Karta Bhi Kya Aur Tum Par Jo Aa Rahi Thi Baat!

Woh Pila Kar Jaam Labon Se Apni Mohabbat Ka,
Ab Kehte Hain Ki Nashe Ki Aadat Achhi Nahi Hoti!

Aaye The Hanste Khelte Mai-Khane Mein Firaq;
Jab Pi Chuke Sharab Toh Sanjeeda Ho Gaye!

Hum Acche Hi Sahi Par Log Kharab Kehte Hain,
Is Desh Ka Bigda Huwa Nawab Kehte Hain;
Hum Aise Badnaam Hue Is Shehar Mein,
Ki Paani Piye Bhi To Log Ise Sharab Kehte Hain!

Nasha Hum Kiya Karte Hain, Ilzaam Sharab Ko Diya Karte Hain;
Qusoor Sharab Ka Nahi Unka Hai, Jinka Chehra Hum Jaam Mein Talaash Liya Karte Hain!