
Kuch Nasha To Aapki Baat Ka Hai;
Kuch Nasha To Dheemi Barsaat Ka Hai;
Humein Aap Yoon Hi Sharabi Na Kahiye;
Is Dil Par Asar To Aap Se Mulakat Ka Hai!

Khudaa Maujood Hai Puri Duniya Mein, Kahin Bhi Jagah Nahi;
Tu Jannat Mein Jaa, Wahan Peena Mana Nahi!

Peete Hain Apne Maze Ke Liye, Khaamkhaan Badnaam Gham Hai,
Poori Botal Pee Kar Dekho, Phir Duniya Kya Jannat Se Kam Hai!

Peete Hai Gham e Duniya Bhulaa Ne Ke Liye, Aur Koi Baat Nahi;
Jannat Main Kahan Gham Hai, Waha Peene Kaa Mazaa Nahi!

Meri Kabar Pe Mat Gulaab Le Kar Aana;
Na Hi Haathon Mein Chiraag Le Kar Aana;
Payasa Hu Main Barso Se Jaanam;
Botal Sharab Ki Aur Ek Glass Le Kar Aana!
Jaam Peene Se Kya Fayda, Shaam Mein Pee Subha Utar Jaayegi;
Arey Peeni Hai To Do Boond Mohabbat Ki Pee, Saari Zindagi Nashe Mein Hi Guzar Jaayegi!

Mai-Khane Mein Kyon Yaad-E-Khuda Hoti Hai Aksar;
Masjid Mein To Zikr-E-Mai-O-Meena Nahi Hota!

Peeta Tha Jiske Saath Wo Saaki Bada Haseen Tha;
Aadi Bana Kar Zaalim Ne Maikhana Badal Liya!

Pehle Sharaab Zeesat Thi Ab Zeesat Hai Sharaab;
Koi Pila Raha Hai Piye Ja Raha Hun Main!
Kyon Intezar Karen Kisi Mehkti Hui Shaam Ka;
Teri Nazron Se Hi Chalakta Hai Nasha Kisi Madira Ke Jaam Ka!