
Har Mulaqat Par Waqt Ka Takaza Hua,
Har Yaad Par Dil Ka Dard Taaza Hua;
Suni Thi Sirf Logon Se Judaai Ki Baatein,
Khud Par Beeti To Haqeeqat Ka Andaza Hua!

Dil Se Aapka Khayal Jata Nahi;
Aapke Siva Koi Yaad Aata Nahi;
Jee Chahta Hai Ke Aapko Roz Dekhun Par;
Woh Waqt Kabhi Aata Nahi!

Mulaqat Bhi Kabhi Aansu De Jati Hai;
Nazrein Bhi Kabhi Dhokha De Jati Hain;
Guzre Hue Lamhon Ko Yaad Karke Dekhiye;
Tanhai Bhi Kabhi Kabhi Sukoon De Jati Hai!

Khul Jata Hai Teri Yaadon Ka Bazaar Subah-Subah;
Aur Isi Raunak Mein Mera Din Guzar Jata Hai!

Aaj Ki Raat Bhi Mumkin Hai Na So Sakun;
Yaad Phir Aayi Hai Neendoon Ko Udaane Wali!
Kuch Meethi Si Thandak Hai Aaj In Hawaon Mein,
Shayad Teri Yaadon Se Bhara Daraaz Khula Reh Geya Hai!
Zindagi Ki Har Fizaon Mein Yaad Rakhna;
Dil Ki Sadaon Mein Yaad Rakhna;
Yeh Tohfa Bohat Hai Mere Liye;
Khaloos-e-Dil Se Duaon Mein Yaad Rakhna!
Jinki Yaad Hai Dil Me Nishaani Ki Tarah;
Woh To Bhool Gaye Hume Kahani Ki Tarah!

Sabhi Naghme Saaz Mein Gaaye Nahi Jate;
Sabhi Log Mehfil Mein Bulae Nahi Jate;
Kuch Pass Reh Kar Bhi Yaad Nahi Aate;
Kuch Dur Rehkar Bhi Bhulaye Nahi Jate!

Dil Bhar Aaya Kaghaz-e-Ḳhali Ki Surat Dekh Kar;
Jin Ko Likhna Tha Woh Sab Batein Zubani Ho Gayin!