
Bedard Zamane Ka Bahana Sa Bana Kar;
Hum Toot Ke Rote Hain Teri Yaad Me Aksar!

Yakeen Karo Aaj Iss Kadar Yaad Aa Rahe Ho Tum,
Jis Kadar Tum Ne Bhula Rakha Hai Mujhe!

Mulaqat Bhi Kabhi Aansu De Jati Hai;
Nazrein Bhi Kabhi Dhokha De Jati Hain;
Gujre Hue Lamhon Ko Yaad Karke Dekhiye;
Tanhai Bhi Kabhi Kabhi Sukoon De Jati Hai!

Raat Kee Khamoshi Raas Nahi Aati;
Meri Parchayi Bhi Ab Mere Paas Nahi Aati;
Aati Hai To Bas Aapki Yaad;
Jo Aakar Ek Pal Bhi Mujhse Door Nahi Jaati!

Kisi Kee Yaad Dil Mein Aaj Bhi Hai;
Bhool Gaye Wo Magar Pyaar Aaj Bhi Hai;
Hum Khush Rehne Ka Daawa To Karte Hain Magar;
Unki Yaad Mein Behte Aansu Aaj Bhi Hain!

Tujhe Chahne Wale Kum Na Honge;
Waqt Ke Sath Shayad Hum Na Honge;
Chahe Kisi Ko Kitna Bhi Pyaar Dena;
Lekin Teri Yaadon Ke Haqdar Sirf Hum Hi Honge!
Nikli Mohabbat Ki Baat To Tum Yaad Aa Gaye;
Uthe Dil Mein Wo Zazbat To Tum Yaad Aa Gaye;
Garmi Ne Sukha Diya Tha Teri Yaadon Ko;
Hui Jab Pyaar Kee Barsat To Tum Yaad Aa Gaye!

Yaad Rukti Nahi Rok Paane Se;
Dil Maanta Nahi Kisi Ke Manane Se;
Ruk Jaati Hain Dhadkane Aapko Bhool Jaane Se;
Isliye Aapko Yaad Karte Hain Jeene Ke Bahane Se!
Kash Tu Bhi Ban Jaye Teri Yaadon Ki Tarah;
Na Waqt Dekhe Na Bahana, Bas Chali Aaye!
Kabhi Ek Lamha Aisa Bhi Aata Hai;
Jis Mein Beeta Hua Kal Nazar Aata Hai;
Bas Yaadein Reh Jati Hain Yaad Karne Ke Liye;
Aur Waqt Sab Kuch Leke Guzar Jata Hai!