
Guzrey Hue Waqt Ki Kuchh Nishaniya Baaki Hain;
Abhi Uski Gali Mein Meri Kahaniya Baaki Hain;
Abhi Zinda Hai Mohaabat Mujhme Kahin;
Logon Ke Dilon Mein Hairaniya Baaki Hain!

Jaaney Kaisy Jeety Hain Log Yaadoon Ke Saharey;
Main To Kai Baar Marta Hoon Ik Yaad Aanay Pe!

Dukh Nahi Wahan Fasaana Jahan Hai Tera;
Khushi Dhoondhe Hamesha Aashiyana Tera;
Zindagi Mein Tu Kabhi Udaas Na Ho;
Duniyaa Yeh Yaad Rakhe Muskurana Tera!

Raat Yoon Dil Mein Teree Khoyee Huee Yaad Aaee;
Jaisey Veeraney Mein Chupkey Sey Bahaar Aa Jaaye;
Jaisey Sahraaon Mein Hauley Sey Chaley Baad-e-Naseem;
Jaisey Beemaar Ko Bevajah Qaraar Aa Jaaye!
Bhool Jane Ka Bahana Na Bana Dena;
Durr Jane Ki Bas Ek Wajah Bata Dena;
Khud Chale Jayenge Apki Zindagi Se;
Par Jaha Apki Yaad Na Aaye, Wo Jagah Bata Dena!

Chaho To Dil Se Hame Mita Dena;
Chaho To Hamko Bhula Dena;
Par Yeh Vaada Karo Ae Dost;
Ki Jab Yaad Aye Hamaari, Toh Rona Mat Bas Muskura Dena!
Dil Mein Chahat Ka Hona Bhi Zaruri Hai;
Warna Yaad To Dushman Bhi Roz Kiya Karte Hain!

Jab Koi Taaza Museebat Tutati Hai, Hafeez;
Ek Aadat Hai Khuda Ko Yaad Kar Leta Hun Main!

Naino Mein Basse Hain, Zarra Dhyan Rakhna;
Apna Rishta Yunhi Aabad Rakhna;
Mujhe To Aadat Hai Yaad Karne Ki;
Hichkiyan Aati Rahein To Maaf Karna!

Kabhi Kabhi Pathar Ke Takranay Se Aati Nahi Kharash;
Kabhi Ek Zara Si Baat Se Insaan Bikhar Jaata Hai;
Bhool Jao Unhe Jinhe Maaf Nahi Kar Sakte;
Ya Fir - Maaf Kar Do Unhe, Jinhe Bhool Nahi Sakte!