Shayari



Meri Yaadon Ki Kashti Uss Samundar Mein Tairti Hai;
Jiss Mein Paani Meri Apni Hi Palkon Ka Hota Hai!

Kaash Unko Kabhi Fursat Mein Yeh Khayal Aa Jaye;
Ke Koi Yaad Karta Hai Unhey Zindagi Samajh Kar!

Apani Yaadon Ke Ujallon Ko Mere Pass Rahne Do;
Baki Hayat-E-Safar Inki Roshni Mein Guzaar Leinge!

Samundar Ke Safar Mein Iss Tarhan Awaaz Dain Humko;
Hawaein Tez Ho Aur Kashtiyon Mein Shaam Ho Jai;
Ujaley Apni Yadoon Ke Hamare Saath Rehne De;
Najane Kis Gali Mein Zindagi Ki Shaam Ho Jai!

Kitni Jaldi Zindaagi Guzar Jaati Hai;
Pyaas Bujtee Nahin Barsaat Chali Jaati Hai;
Aap Ki Yaadein Kuchh Iss Tarah Aati Hai;
Neend Aati Nahin Aur Raat Guzar Jaati Hai!

Jaane Uss Shakas Ko Kaisa Yeh Hunar Aata Hai;
Raat Hote He Ankhon Mein Utar Jaata Hai;
Mein Uski Yaad Se Niklon, Toh Kahaan Jaun;
Woh Meri Soch Ki Har Dehlez Pe Nazar Aata Hai!

Kaise Bhula Doon Main Usko;
Maut Insanon Ko Aati Hai, Yadon Ko Nahi!

Sazzaa Ban Jaati Hain, Guzree Huye Waqt Ki Yaadein;
Jaane Kyun Matlab Ke Liye, Meharbaan Hote Hain Log!

Takleef Jo Ho Kabhi, Mujhe Sochne Se Tumhe;
Ek Lamha Bhi Na Lagana, Mujhe Bhool Jaana Tum!

Aapki Yaad Staye To Dil Kya Kare;
Yaad Dil Se Na Jaye To Dil Kya Kare;
Socha Tha Sapno Mein Mulaqat Hogi;
Magar Neend Hi Na Aaye, To Hum Kya Kare!

End of content

No more pages to load

Next page