Duniy-e-Tasavvur Hum Abaad Nahi Karte;
Yaad Aate Ho Tum Khud Hi Hum Yaad Nahi Karte!
*Duniy-e-Tasavvur - World of Imagination
Le Ke Jaate Na Agar Saath Wo Yaadein Apni;
Yaad Karte Unhein Aur Waqt Guzara Karte!
Mar Bhi Jaun To Kahan Log Bhula Hi Denge;
Lafz Mere, Mere Hone Ki Gawahi Denge!
Gum-Shuda Mausam Ka Ankhon Mein Koi Sapna Sa Tha;
Badalon Ke Udte Tukdon Mein Tera Chehra Sa Tha!
Aankhon Se Wo Kabhi Meri Ojhal Nahi Raha;
Ghafil Main Us Ki Yaad Se Ik Pal Nahin Raha!
Us Ki Yaad Aur Dard Ki Saughat Mere Saath Thi;
Us Se Badh Kar Ek Tanha Raat Mere Saath Thi!
Dil Ke Sahra Mein Bade Zor Ka Badal Barsa;
Itni Shiddat Se Koi Raat Mujhe Yaad Aaya!
Bada Meetha Nasha Tha Unki Yaadon Ka;
Waqt Guzarta Gaya Hum Adi Hote Gaye!
Uski Yaad Aayi Haii Saanson Zara Ahista Chalo;
Dhadkano Se Bhi Ibadat Mein Khalal Padta Hai!
Tasadduq Is Karam Ke Main Kabhi Tanha Nahi Rehta;
Ki Jis Din Tum Nahi Aate Tumhari Yaad Aati Hai!



