
Tere Bina Hum Jeena Bhool Jaate Hain;
Zakhmon Ko Seena Bhool Jate Hain;
Tu Zindagi Main Sabse Azeez Hai Hamein;
Tujhse Har Bar Yeh Kehna Bhool Jaate Hain!
Yeh Ek Baar Ki Maut Ab Use Mili Warna;
Zara Zara Sa Toh Hiddat Se Mar Raha Tha Koi!
Apni To Zindagi Ki Ajeeb Kahani Hai;
Jis Cheez Ko Chaha Wo Hi Begani Hai;
Haste Hain Dunia Ko Hasane Ke Liye Warna;
Dunia Doob Jaye In Ankhon Main Itna Pani Hai!
Taash Ke Patoon Ki Manind Hai Zindagi Meri;
Jis Kisi Ne Bhi Khela, Taqseem Mar Diya Mujhe!
Hichkiyon Par Ho Raha Hai Zindagi Ka Raag Ḳhatam;
Jhatke De Kar Taar Tode Ja Rahe Hain Saaz Ke!

Mil Sake Aasani Se Uski Khawaish Kise Hai;
Zid To Uski Hai Jo Mukadar Me Likha Hi Nahi Hai!
Fikr-e-Maash Ishq-e-Butan Yaad-e-Raftagan;
Is Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare!

Badi Talash Se Milti Hai Zindagi Ai Dost;
Qaza Ki Tarah Pata Puchti Nahi Aati!
Aaj Nagah Hum Kisi Se Mile;
Baad Muddat Ke Zindagī Se Mile!

Ai Hijr Waqt Tal Nahi Sakta Hai Maut Ka;
Lekin Ye Dekhna Hai Ki Mitti Kahan Ki Hai!