
Zindagi Khaak Na Thi, Khaak Uddatey Guzri;
Tujhse Kya Kehtey Tere Pass Jo Atey Guzri;
Din Jo Guzraa To Kisi Yaad Mein Guzra;
Shaam Ayi To Koi Khawb Dikhatey Guzri!
Wohi Ahal-e-Karwan Hain Wohi Be Hisi Ka Alam;
Na Kisi Ko Manzil Na Gham-e-Shikasta Pani!

Umar-e-Daraaz Maang Ke Laaye They Chaar Din;
Do Aarzu Mein Katt Gaye Do Intizaar Mein!

Sheher Ki Be Chiraag Galiyon Mein;
Zindagi Tujh Ko Dhoondti Hai Abhi
Translation:
Be Chiraag = Dark, Having No Light
Chupaaye Dil Mein Ajab Sa Ghubaar Bethe Hain;
Najane Kese Tassawur Mein Yaar Bethe Hain;
Luttaa Chuke Hain Murawwat Mein Zindagi Apni;
Tere Liye To Anaa Ko Bhi Maar Bethe Hain!
Koi Ro Ke Dil Bahlata Hai;
Koi Hass Kar Dard Chhupata Hai;
Kya Karamaat Hai Kudrat Ka;
Zinda Insaan Paani Mein Doob Jaata Hai;
Aur Murda Tair Ke Dikhata Hai!
Manzil Toh Mil Hi Jayegi Bhatak Kar Hi Sahi;
Gumrah Toh Wo Hai, Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi!

Hamein To Kaatni Hai Sham-e-Gham Mein Zindagi Apni;
Jahan Woh Hain Wahin Aee Chaand Le Jaa Chaandni Apni!

Waqt Do Mujh Par Kathin Guzre Hain Saari Umar Mein;
Ek Tere Aane Se Pehle Ek Tere Jaane Ke Baad!
Bhahut Roya Tha Jab Mera Janam Hua Tha;
Aur Hans Rahi Thi Ye Duniya;
Magar Doston Ek Din Badala Lunga;
Hansta Hua Jaunga Aur Royegi Ye Duniya!