
Tapta Suraj Shaam Ko Dhal Jayega; Waqt Kaisa Hi Pade Tal Jayega!

Lamba Raasta Nange Paanv; Jaana Hai Par Apne Gaanv!

Saari Duniya Mein Hai Kis Tarah Ka Manzar Yaara; Apne Hi Ghar Mein Hai Har Aadmi Dar Kar Yaara!

Jo Dil Ko Hai Khabar Kahin Milti Nahi Khabar; Har Subah Ek Azab Hai Akhbar Dekhna!

Hum Ko Na Mil Saka To Faqat Ek Sukun-e-Dil; Ai Zindagi Vagarna Zamane Mein Kya Na Tha!

Zara Si Chaaye Giri Aur Daagh Daagh Varaq; Ye Zindagi Hai Ki Akhbar Ka Tarasha Hai! * Varaq: Paper * Tarasha: Chiselled (Cut, Shaped)

Manzilen Hi Manzilen Hain Har Taraf; Raaste Ki Ek Nishani Bhi Nahi!

Ghar Se Nikla To Mulaqat Hui Paani Se; Kahan Milti Hai Khushi Itni Faravani Se! *Faravani: Abundance, Plenty

Is Liye Dil Bura Kiya Hi Nahi; Zindagi Mera Faisla Hi Nahi!

Nikal Kar Khud Se Bahar Bhagne Se Khud Mein Aane Tak; Farar Aakhir Hai Ye Kaisa Ye Kaisi Aazmaish Hai!