
Zindagi Ko Samajhna Hai To Mujhe Dekho;
Keh Gaya Pani Ka Bulbula Jaate Jaate!

Waqt Leta Hai Karvate Na Jaane Kaise Kaise;
Umar Itni toh Nahi Thi Jitne Sabak Seekh Liye Hamne!

Har Waqt Milti Rahti Hain Anjani Si Saza Mujhe;
Main Kaise Poochun Taqdeer Se Mera Qasoor Kya Hai!

Runj Se Khugar Hua Insaan To Mit Jaata Hai Runj;
Mushkilein Mujh Par Padi Itni Ke Aasaan Ho Gayi!

Har Gam Par Hai Majamaa-E-Ushshaaq Muntazir;
Maqtal Ki Raah Milti Hai Kuu-E-Habeeb Se;
Is Tarah Zindagi Ne Diyaa Hai Hamaara Saath;
Jaise Koi Nibhaa Rahaa Ho Kisi Raqeeb Se!

Andhere Ke Humsafar Ko Koi Yaad Nahi Kartaa;
Subah Hote Hi Chiraagon Ko Bujha Dete Hain Sab Log!

Chaaha Hai Tujhko Tere Taghaful Ke Bawajood;
Aye Zindagi Tu Bhi Yaad Karegi Kabhi Humein!

Zameen Bhi Paaon Nahi Rakhne Deti Humein Ab To;
Humein Ye Zidd Hua Karti Thi Ki Ik Naya Aasmaan Banaayenge!

Har Dua Gar Kabool Ho Jaaye;
Aadmi Be-Usool Ho Jaaye;
Vo To Ranj-O-Gham Raahaton Mein Shaamil Hain;
Varnaa Insaan Malool Ho Jaaye!

Zinda Rahein To Kya Hai, Jo Mar Jaayein Hum To Kya;
Duniya Se Khamoshi Se Guzar Jaayein Hum To Kya;
Hasti Hi Apni Kya Hai Zamaane Ke Saamne;
Ek Khwab Hain Jahaan Mein Bikhar Jaayein Ham To Kya!