
Aankhon Ki Hoti Hai Khata, Aur Saza Dil Ko Mil Jaati Hai;
Pucho Na Yaaro Pal Mein Hi Kaise Zindagi Badal Jaati Hai!

Zindagi Jeena Aasaan Nahi Hota;
Bina Sangharsh Ke Koi Mahaan Nahi Hota;
Jab Tak Na Pade Hathode Ki Chot;
Pathar Bhi Bhagwaan Nahi Hota!

Zindagi Ka Safar Toh Ek Haseen Safar Hai;
Her Kissi Ko Kissi Na Kissi Ki Talash Hai;
Kissi Ke Pass Manzil Hai, Toh Raah Nahi;
Aur Kissi Ke Pass Rah Hai, Toh Manzil Nahi!

Kissi Se Aggar Juda Hona Itna Aasan Hota;
Toh Jism Se Rooh Ko Lene Kabhi Farishte Na Aate!
Surma-e-Muft-e-Nazar Hoon, Meri Qeemat Yeh Hai;
Ke Rahe Chashm-e-Khareedaar Pe Ehsaan Mera!

Rone Se Kissi Ko Paya Nahi Jata;
Khone Se Kissi Ko Bhulaya Nahi Jata;
Waqt Sabko Milta Hai Zindaagi Badalane Ke Liye;
Par Zindagi Nahi Milti Waqt Badalne Ke Liye!

Ghalib Bura Na Maan Jo Vaiz Bura Kahe;
Aisa Bhi Koi Hai Ke Sab Acha Kahein Jisse!

Qahar To Yeh Hai Ke Kafir Ko Milein Hoor-o-Qasoor;
Aur Bechaare Musalmaan Ko Faqt Waada-e-Hoor!
Translation:
How cruel that Kafirs are granted houries here on earth;
The poor Muslims have to wait for the promised nymphs above!
Basa Dete Nahin Aur Dil Pe Hai Har Lahza Nigah;
Ji Mein Kahte Hein Ke Muft Haath Aaey, Tau Maal Achha Hai!
Translation
He has his eyes on my heart, but doesn't yield a kiss;
The stuff is good, he seems to think, if it comes gratis!

Saari Zindgaani Humne Bita Di;
Unka Ikraar-e-Ishq Itna Mushkil To Na Tha;
Hum Ikraar Karte Rahe, Wo Inkaar Karte Gaye!