
Abhi Hai Ghair Ke Altaf Se Jafa-e-Habib;
Wahi Raza Hai Hamari Jo Hai Raza-e-Habib!

Kya Ghazab Hai Zindagi Ki Daud Mein;
Rahzan Aage Badha Rahbar Gira!

Ai 'Saadat' Jo Nasihat Karte Ho Auron Ko Tum;
Is Nasihat Ko Kabhi Apni Bhi Babat Dekhna!

Itni Mushkil Mein Bhi Ahbab Na Daalen Mujh Ko;
Ki Sambhalna Bhi Na Chahun To Sambhalen Mujh Ko!

Zindagi Ko Jeena Hai To Pareshani To Hogi Hi;
Varna Marne Ke Baad To Dard Ka Bhi Ehsas Nahi Hota!

Hathon Ki Lakeeron Pe Mat Ja Ai Ghalib;
Naseeb Unke Bhi Hote Hain Jinke Haath Nahi Hote!

Hayat Le Ke Chalo Qayaenat Le Ke Chalo;
Chalo To Saare Zamane Ko Saath Le Ke Chalo!

Zindagi Kya Hai Aaj Ise Ai Dost;
Soch Len Aur Udaas Ho Jayein!

Bahut Pahle Se Un Qadmon Ki Aahat Jaan Lete Hain;
Tujhe Ai Zindagi Hum Duur Se Pahchan Lete Hain!

Is Zindagi Mein Itni Faraghat Kise Naseeb;
Itna Na Yaad Aa Ki Tujhe Bhool Jayein Hum!
* Faraghat - Cessation from labour, Interval, Time for rest, Comfort