
Aaram Se Zindagi Jeena Chahate Ho To;
Apne Dil Se Lalach Nikaal Do!

Na Khushi Khareed Pata Hun,
Na Gham Bech Pata Hun;
Phir Bhi Na Jaane Kyon Main;
Har Roz Kamane Jaata Hun!

Dariya Dariya Ghume Manjhi Pet Ki Aag Bujhane;
Pet Ki Aag Mein Jalne Wala Kis Kis Ko Pehchane!

Kuch Is Tarah Se Guzari Hai Zindagi Jaise;
Tamaam Umar Kisi Dusre Ke Ghar Mein Raha!

Sahmne Manzil To Raaste Na Modna,
Jo Mann Mein Ho Woh Khwaab Na Todna;
Har Kadam Par Milegi Safalta,
Bas Aasman Chhune Ke Liye Zameen Na Chhodna!

Chhod Diya Mujhko Aaj Meri Maut Ne Yeh Kah Kar,
Ho Jao Jab Zinda, To Khabar Kar Dena!

Na Gila Hai Koi Halaat Se, Na Shikayatien Kisi Ki Zaat Se;
Khud He Sare Lafz Judaa Ho Rahe Hain Meri Zindagi Ki Kitab Se!

Zindagi Yun Hui Basar Tanha,
Qafila Saath Aur Safar Tanha;
Apne Saye Se Chaunk Jaate Hain,
Umar Guzri Hai Is Qadar Tanha!

Koi Na Aayega Tere Siwa Meri Zindgi Mein 'Faraz';
Ek Maut Hi Hai Jiss Ka Hum Vaada Nahi Karte!

Kaun Kehta Hai Ki Maut Aayi Toh Mar Jaun Ga;
Main Toh Darya Hun Samandar Mein Utar Jaun Ga!