
Baat Bas Se Nikal Chali Hai,
Dil Ki Halat Sambhal Chali Hai;
Ab Junoon Hadh Se Badh Chala Hai,
Ab Tabiyat Bahal Chali Hai!

Jaane Wale Se Mulaqat Na Hone Payi;
Dil Ki Dil Mein Hi Rahi Baat Na Hone Payi!

Samjha Liya Fareb Se Mujh Ko To Aap Ne;
Dil Se To Puch Lijiye Kyon Be-Qarar Hai!

Ai Sab Se Awwal Aur Akhir,
Jahan-Tahan, Hazir Aur Nazir;
Ai Sab Danaon Se Daana,
Saare Tavanaon Se Tavana!

Khamosh Chehron Par Hazaron Pehre Hote Hain,
Hansti Aankhon Mein Bhi Zakham Gehre Hote Hain;
Jinse Aksar Rooth Jate Hain Hum,
Unse Hi Rishte Zyada Gehre Hote Hain!

Dooriyan Mayane Nahi Rakhti;
Jab Dil Ek Dusre Ke Wafadar Ho!

Shikwa-e-Iztirab Kaun Kare,
Apni Duniya Kharab Kaun Kare;
Gin To Lete Hain Ungliyon Pe Gunah,
Rahmaton Ka Hisab Kaun Kare!

Kar Raha Tha Gham-e-Jahan Ka Hisab;
Aaj Tum Yaad Be-Hisab Aaye!

Dono Jahan Teri Mohabbat Mein Haar Ke;
Woh Ja Raha Hai Koi Shab-e-gham Guzar Ke!

Gulon Mein Rang Bhare Bad-e-Nau-Bahar Chale,
Chale Bhi Aao Ki Gulshan Ka Karobar Chale;
Qafas Udaas Hai Yaaro Saba Se Kuch To Kaho,
Kahin To Bahr-e-Khuda Aaj Zikr-e-Yaar Chale!