Woh Yun Mila Tha Ki Jaise Kabhi Na Bichhdega;
Woh Yun Geya Ki Kabhi Laut Kar Nahi Aaya!
Raat Mili Tanhai Mili Aur Jaam Mila;
Ghar Se Nikle Toh Kya Kya Araam Mila!
Tere Ufuq Pe Sada Subah Jagmagati Rahe;
Jahan Pe Main Hun Vahan Shaam Hone Wali Hai!
Koi Titli Nishane Par Nahi Hai;
Main Bas Rangon Ka Peechha Kar Raha Hun!
Bahut Ghurur Tha Suraj Ko Apni Shiddat Par;
So Ek Pal Hi Sahi Badalon Se Haar Gaya!
Qurbaten Hote Hue Bhi Faslon Mein Qaid Hain;
Kitni Azadi Se Hum Apni Hadon Mein Qaid Hain!
Bazm-e-Wafa Saji To Ajab Silsile Hue;
Shikve Hue Na Un Se Na Hum Se Gile Hue!
Siyah Raat Nahi Leti Naam Dhalne Ka;
Yahi To Waqt Hai Suraj Tere Nikalne Ka!
Sher Kehne Ki Tabiyat Na Rahi;
Jis Se Aamad Thi Woh Surat Na Rahi!
Ishq Ka Shor Hai, Mohabbat Ki Baatein Hai;
Magar Koi Bekarar Nahi, Koi Wafa Nahi!