Mujhe Bakshi Khuda Ne Kaun Roke Ga Zubaan Meri; Tumhein Har Haal Mein Sun-Ni Padegi Daastan Meri! |
Teri Rah-e-Talab Mein Zakhm Sab Seene Pe Khaaye Hain; Bahaar-e-Gulsitaan Meri Hayaat-e-Jaavedaan Meri! |
Kitna Aasaan Tha Tere Hizra Mein Marna Jaana; Phir Bhi Ik Umar Lagi Jaan Se Jaate Jaate! |
Dard-o-Gham Dil Ki Tabiyat Ban Gaye, Ab Yahan Aaraam Hi Aaraam Hai! |
Tiri Khushi Se Agar Gham Mein Bhi Khushi Na Hui, Woh Zindagi Toh Mohabbat Ki Zindagi Na Hui! |
Bahut Ajeeb Hai Ye Bandishein Mohabbat Ki 'Faraz'; Na Usne Qaid Mein Rakha Na Hum Faraar Hue! |
Jhele Hain Jo Dukh Tune 'Faraz' Apni Jagah Hain; Par Tum Pe Jo Guzri Hai Wo Auron Se Kam Hai! |
Kam Na Thi Ye Aalam-e-Hasti Kisi Surat Magar; Wusatein Dil Ki Badhi Itni Ki Zinda Ho Gayi! |
Inhi Mein Khinchkar Rooh-e-Mohabbat Maine Bhare Hain; Mera Ashyaar Dekhenge Mera Dil Dekhne Waale! |
Ahl-e-Zubaan Toh Hai Bahut; Koi Nahin Hai Ahl-e-Dil! |