Dekhna Hai Kaun Ab Kis Ka Udaata Hai Mazaaq; Waqt Sanjida Hai, Lekin Log Sanjida Nahi! Mazaq: Fun Sanjida: Serious |
Ab Is Ke Baad Mujhe Kuch Khabar Nahin Unki; Dil Aashna Hue, Apne Hue, Paraye Hue! Khabar: News Aashna: Acquainted |
Qateel Apna Muqaddar Gham Se Begaana Agar Hota; To Phir Apne Paraye Hum Se Pehchaane Kahan Jaate! Muqaddar: Fate Begaana: Unrelated |
Safar Pe Aaj Wahi Kashtiyan Nikaltein Hain; Jinhe Khabar Hai Hawayein Bhi Tez Chalti Hain! Kashtiyan: Boats |
Mujhe Na Dekho Mere Dil Ka Dhuan Dekho; Jala Hai Kaise Ye Aabad Saa Makaan Dekho! |
Ameeron Tak Rasaai Ho Chuki Bas; Meri Bakht-Aazmayai Ho Chuki Bas! Rasaai: Reach, Access Bakht: Luck |
Mujhe Kaam Rone Se Aksar Hai Naaseh; Tu Kab Tak Mere Munh Ko Dhoota Rahega! Naaseh: Preacher |
Ujr Aane Mien Hai Aur Bulate Bhi Nahi; Baais-e-Tarq-e-Mulaqaat Batate Bhi Nahi! Ujr: Excuses, Refusal To Meet Baais-e-Tarq-e-Mulaqaat: The Reason For Not Meeting |
Ulti Ho Gayi Sab Tadbeerein Kuch Na Dawaa Ne Kaam Kiya; Dekha Iss Bimari-e-Dil Ne Aakhir Kaam Tamaam Kiya! |
Teri Rah-e-Talab Mein Zakhm Sab Seene Pe Khaaye Hain; Bahaar-e-Gulsitaan Meri Hayaat-e-Jaavedaan Meri! Raah-e-talab: The path of desire Bahaar-e-gulsitaan: Spring season of the garden Hayaat-e-Jaavedaan: Spouse |