Khud Ko Kyon Jism Ka Zindani Kare; Fikar Ko Takht-e-Sulemani Kare; Der Tak Baith Ke Soche Khud Ko; Aaj Fir Ghar Mein Biyabani Kare; Apne Kamre Mein Sajaye Aafaq; Jalsa-e-Be-Sar-o-Samani Kare; Umar Bhar Sher Kahe Khoon Thuke; Muntkhib Rasta-e-Nuksani Kare; Khud Ke Liye Mol Le Izhar Ka Karz; Dusron Ke Liye Aasani Kare; Sher Ke Lab Pe Khamoshi Likhe; Harf-e-Na-Gufta Ko La-Sani Kare; Kimiyakari Hai Fan Apna 'Saaz'; Aag Ko Baithe Hue Paani Kare! |
Chup Ke Se Usne Jo Khud-Numai Kee; Intiha Thi Ye Dilrubi Kee; Mail-e-Ghamza Hai Wo Chashm-e-Siyaah; Ab Nahi Khair Parsayi Kee; Hum Se Kyonkar Wo Aastana Chhute; Muddaton Jis Pe Jabha-Sai Kee; Dil Ne Barson Ba-Justju-e-Kamaal; Koocha-e-Ishq Mein Gadaai Kee; Daam Se Un Ke Chutna To Kahan; Ya Hawas Bhi Nahi Rihai Kee; Ho Ke Nadim Wo Baithe Hain Khamosh; Sulh Mein Shan Hai Ladai Kee; Us Taghaful-Shiar Se 'Hasrat'; Hum Mein Taqat Nahi Judai Kee! |
Tere Daaman Kee Hawa Mangte Hain; Hum Bhi Jeene Kee Dua Mangte Hain; Mutaribo Koi Achuta Nagma; Saaz Aahang-o-Sadaa Mangte Hain; Maah-o-Anjum Ke Jharokhe Aksar; Kisi Ke Aariz Kee Dua Mangte Hain; Phir Patangon Mein Khudayi Jagi; Sholay Hashr-Numa Mangte Hain; Banda-Parwar Koi Khairat Nahi; Hum Wafaon Ka Sila Mangte Hain; Maikada Ho Ke Kaleesa 'Saghir'; Sari Duniya Ka Bhala Mangte Hain! |
Mil Kar Judaa Hue To Na Soya Karenge Hum; Ek Dusre Kee Yaad Mein Roya Karenge Hum; Aansu Jhalak Jhalak Ke Satayenge Raat Bhar; Moti Palak Palak Mein Piroya Karenge Hum; Jab Dooriyon Kee Aag Dilon Ko Jalayegi; Jismon Ko Chandani Mein Bhigoya Karenge Hum; Bin Kar Har Ek Bazm Ka Mauzu-e-Guftgu; Sheron Mein Tere Gham Ka Samoya Karenge Hum; Mazbooriyan Ke Zehar se Kar Lenge Khudkushi; Ye Buzdili Ka Jurm Bhi Goya Karenge Hum; Dil Jal Raha Hai Zard Shajar Dekh Dekh Kar; Ab Chahton Ke Beej Na Boya Karenge Hum; Gar De Geya Dagha Humein Toofan Bhi 'Qateel'; Sahil Pe Kashtiyon Ko Duboya Karenge Hum! |
Jahan Dariya Kahin Jahan Dariya Kahin Apne Kinare Chhod Dete Hai; Koi Uthta Hai Aur Toofan Ka Rukh Mod Deta Hai; Mujhe Be-Dast-o-Paa Kar Ke Bhi Khauf Us Ka Nahi Jata; Kahin Bhi Haadsa Guzre Wo Mujh Se Jod Deta Hai; Bichhad Ke Tujh Se Kuch Jaana Agar To Is Kadar Jaana; Wo Mitti Hun Jise Dariya Kinare Chhod Deta Hai; Mohabbat Mein Zara Si Bewafai To Zaruri Hai; Wahi Achha Bhi Lagta Hai Jo Vaade Tod Deta Hai! |
Har Ek Chehre Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kaho; Ye Zindagi To Hai Rehmat Ise Saza Na Kaho; Na Jaane Kaun Si Mazburiyon Ka Qaidi Ho; Wo Saath Chhod Geya Hai To Bewafa Na Kaho; Tamaam Shehar Ne Nezon Pe Kyon Uchala Mujhe; Ye Itifaaq Tha Tum Is Ko Haadsa Na Kaho; Ye Aur Baat Ki Dushman Hua Hai Aaj Magar; Wo Mera Dost Tha Kal Tak Use Bura Na Kaho; Hamare Aib Humein Ungaliyon Pe Ginwao; Hamari Peeth Ke Peeche Humein Bura Na Kaho; Main Waqiyat Kee Zanjeer Ka Nahi Qayal; Mujhe Bhi Apne Gunahon Ka Silsila Na Kaho; Ye Shehar Wo Hai Jahan Rakshas Bhi Hai 'Rahat'; Har Ek Tarashe Hue But Ko Devta Na Kaho! |
Apne Dil Kee Khoj Mein Kho Gaye Kya-Kya Log; Aansu Tapti Ret Mein Bo Gaye Kya-Kya Log; Kirnon Ke Toofan Se Bajre Bhar-Bhar Kar; Roshniyan Us Ghaat Par Dho Gaye Kya-Kya Log! Saanjh Samay Is Kunj Mein Zindagiyon Kee Aut; Baj Gayi Kya-Kya Bansauri Ro Gaye Kya-Kya Log; Maili Chaadar Taan Kar Is Chaukhat Ke Dwar; Sadiyon Ke Kohraam Mein So Gaye Kya-Kya Log; Gathdi Kaal Rain Kee Sonti Se Latkaye; Apni Dhun Mein Dhyan Nagar Ko Gaye Kya-Kya Log; Meethe Meethe Bol Mein Dohe Ka Hindol; Sun Sun Us Ko Bhanware Ho Gaye Kya Kya Log! |
Hairan Hai Jabeen Aaj Hairan Hai Jabeen Aaj Kidhar Sajda Ravaa Hai; Sar Par Hain Khudavand Sar-e-Arsh Khuda Hai; Kab Tak Ise Seenchoge Tamanna-e-Samar Mein; Ye Sabr Ka Pauda To Na Phula Na Phala Hai; Milta Hai Khiraj Us Ko Teri Naan-e-Javin Se; Har Baadshah-e-Waqt Tere Dar Ka Gadaa Hai; Har Ek Uquubat Se Hai Takhi Mein Sava-Tar; Wo Rang Jo Na-Karda Gunahon Kee Saza Hai; Ehsaan Liye Kitne Maseeha-Nafson Ke; Kya Kijiye Dil Ka Na Jala Hai Na Bujha Hai! |
Zindgi Is Tarah Zindgi Is Tarah Guzarate Hain; Karz Hai Aur Use Utarate Hain; Wasl Pe Shart Baandh Lete Hain; Aur Yeh Shart Roz Haarte Hain; Aaino Mein To Aks Hai Khud Ka; Log Patthar Yeh Kisko Maarte Hain; Kitne Dil Is Mein Goondh Lete Hain; Zulf-e-Khugar Ko Jab Sanwarte Hain; Ek Baazi Pe Bhool Mat Jana; Pesh-e-Fateh Bhi Log Haarte Hain! |
Musafir Ke Raaste Badalte Rahe; Muqaddar Mein Chalna Tha Chalte Rahe; Koi Phool Sa Haath Kandhe Pe Tha; Mere Paanv Sholon Pe Chalte Rahe; Mere Raaste Mein Ujala Raha; Diye Us Kee Aankhon Ke Jalte Rahe; Wo Kya Tha Jise Humne Thukara Diya; Magar Umar Bhar Haath Malte Rahe; Mohabbat Adavat Wafa Berukhi; Kiraye Ke Ghar The Badalte Rahe; Suna Hai Unhein Bhi Hawa Lag Gayi; Hawaon Ke Jo Rukh Badalte Rahe; Lipat Ke Charagon Se Wo So Gaye; Jo Phoolon Pe Karvat Badalte Rahe! |