Aaj Van Teg-o-Kafan Bandhe Hue Jata Hun Main; Uzr Mera Qatal Karne Mein Wo Ab Lavenge Kya! *Teg-o-Kafan: Sword and Shroud |
Hazarat-e-Naseh Gar Aayen Didah-o-Dil Farsh-e-Raah; Koi Mujh Ko Ye To Samjha Do Ki Samjhavenge Kya! |
Be-Niyazi Hadd Se Guzri Banda-Parvar Kab Talak; Hum Kahenge Hal-e-Dil Aur Aap Farmavenge Kya! *Be-Niyazi: Unconcern *Banda-Parvar: Powerful man |
Dost Gham Khwari Mein Mere Se Farmavenge Kya; Zakhm Ke Bharne Talak Nakhun Na Badh Javenge Kya! |
Ye Fitna Aadmi Ki Khana-Veerani Ko Kya Kam Hai; Hue Tum Dost Jis Ke Dushman Us Ka Aasman Kyon Ho! |
Koi Umeed Bar Nahi Aati, Koi Surat Nazar Nahi Aati; Maut Ka Ek Din Muayyan Hai, Neend Kyon Raat Bhar Nahi Aati! *Muayyan:Definite |
Marte Hain Aarzoo Mein Marne Ki; Maut Aati Hai Par Nahi Aati! |
Hum Ko Maalum Hai Jannat Ki Haqeeqat Lekin; Dil Ke Khush Rakhne Ko 'Ghalib' Ye Khayal Achcha Hai! |
Ishq Par Zor Nahi Hai Ye Wo Aatish 'Ghalib'; Ki Lagaye Na Lage Aur Bujhaye Na Bane! |
Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ki Tu Kya Hai, Tum Hi Kaho Ki Ye Andaaz-e-Guftgu Kya Hai; Na Sholay Mein Yeh Karishma, Na Barq Mein Ye Ada, Koi Batao Ki Wo Shokh Tund Khu Kya Hai! |