Qadam Insan Ka Raah-e-Dahar Mein Tharra Hi Jaata Hai; Chale Kitna Hi Koi Bach Ke, Thokar Kha Hi Jaata Hai! Rah-e-Dahar: In The Paths Of This World |
Jab Lafz Thak Gaye To Phir Aankhon Ne Baat Kee; Jo Baatein Aankhein Na Keh Saki Woh Phir Ashkon Se Bayaan Hui! |
Raah Mein Baitha Hoon Tum Sang-e-Rah Samjho Mujhe; Aadmi Ban Jaaunga Kuch Thokren Khaane Ke Baad! Sang-e-Rah: A Stone On The Road, Milestone |
Hum Toh Hanste Hain Doosaron Ko Hansane Ki Khatir Mohsin; Varna Dil Pe Zakhm Itne Hain Ki Roya Bhi Nahi Jata! |
Yun Taslli De Rahe Hain Hum Dil-e-Beemar Ko, Jis Tarah Thamay Koi Girti Hui Deewar Ko! |
Andaaz Apna Dekhte Hain Aaine Mein Woh; Aur Ye Bhi Dekhte Hain Koi Dekhta Na Ho! Andaaz: Mannerisms |
Ek Do Roz Ka Sadma Ho To Ro Len 'Fakir'; Ham Ko Har Roz Ke Sadmaat Ne Rone Na Diya! Sadma: Shock |
Judaiyon Ke Tasawuur Hi Se Rulaun Use; Main Jhooth Mooth Ka Qissa Koi Sunaun Use! Tasawuur: Thought |
Bana Kar Faqiron Ka Hum Bhes Ghalib; Tamasha-e-Ahl-e-Karam Dekhte Hain! Faqir: Beggar Ahl-e-Karam: Generosity of Friends |
Zameen Ki Kaisi Vakalat Ho Phir Nahi Chalti; Jab Aasmaan Se Koi Faisala Utarta Hai! Vakalat: Advocacy Faisala: Descision |