Badan Ke Donon Kinaron Se Jal Raha Hun Main; Ki Chhu Raha Hun Tujhe Aur Pighal Raha Hun Main! |
Zidd Har Ik Baat Par Nahi Achchhi; Dost Ki Dost Maan Lete Hain! |
Hum Saans Bhi Lene Ke Saza-Var Na Thehre, Maazi Ke Kharabe Ki Bhi Deewar Na Thehre; Sau Baar Dhuan Phool Ke Seene Se Utha Hai, Badal Ke Qadam Baagh Mein Ik Baar Na Thehre! *Maazi: Past *Kharabe: Waste |
Isi Shehar Mein Kayi Saal Se Mere Kuch Qaribi Azeez Hain; Unhein Meri Koi Khabar Nahi Mujhe Unka Koi Pata Nahi! |
Dekha Nahi Wo Chaand Sa Chehra Kayi Din Se; Tareek Nazar Aati Hai Duniya Kayi Din Se! |
Tum Ko Ye Hai Agar Yaqeen Dil Mein Wo Jalwa-Gar Nahi, Dhoondha Karo Tamam Umar Milne Ka Umar-Bhar Nahi; Aaye Na Aaye Be-Khabar Kya Tujhe Ye Khabar Nahi, Saans Ka Aitbar Kya Shaam Hai To Sahar Nahi! |
Ab Aur Der Na Kar Hashr Barpa Karne Mein; Meri Nazar Tere Deedar Ko Tarasti Hai! |
Wo Afsana Jise Anjam Tak Laana Na Ho Mumkin; Use Ik Khoobsurat Mod De Kar Chhodna Achha! |
Khansi Aur Hichki Ka Farq Gair Vaazeh Hota Hai; Awaam Ke Masihaaon Aur Khuda Ke Vakeelon Ko Muakkil Aur Dastaane Nahi Milte! |
Kachhe Makaan Jitne The Barish Mein Beh Gaye; Varna Jo Mera Dukh Tha Vo Dukh Umar Bhar Ka Tha! |