Jale Charagh Bujhane Ki Zidd Nahi Karte;
Ab Aa Gaye Ho To Jaane Ki Zidd Nahi Karte!
Jab Vasl Ka Aayega Tere Saath Sanam Din;
Us Din Ko Haqiqat Mein Kahunga Main Janam-Din!
Us Ne Pucha Tha Kya Haal Hai;
Aur Main Sochta Rah Gaya!
Talashti Hun Main Dil Ki Kitab Mein Aksar;
Woh Phool Tu Ne Jo Mujh Ko Kabhi Diya Hi Nahi!
Kuch Bhi Bacha Na Kehne Ko Har Baat Ho Gayi;
Aao Kahin Sharab Piyen Raat Ho Gayi!
Mohabbat Mein Khuda Jaane Hui Rusvaiyan Kis Se;
Main Un Ka Naam Leta Hun Woh Mera Naam Lete Hain!
Zamana-Saziyon Se Main Hamesha Door Rehta Hain;
Mujhe Har Shakhs Ke Dil Mein Utar Jana Nahi Aata!
Ab Ye Bhi Nahi Theek Ki Har Dard Mita Den;
Kuch Dard Kaleje Se Lagane Ke Liye Hain!
Doston Ko Bhi Mile Dard Ki Daulat Ya Rab;
Mera Apna Hi Bhala Ho Mujhe Manzoor Nahi!
Woh Jab Dekhte Hain Kabhi Meri Janib;
To Main Janib-e-Aasman Dekhta Hun!