Mujh Se Nafrat Hai Agar Us Ko To Izhar Kare; Kab Main Kehta Hun Mujhe Pyaar Hi Karta Jaye!

Mohabbat Ki To Koi Had, Koi Sarhad Nahi Hoti; Hamare Darmiyan Ye Faasle, Kaise Nikal Aaye!

Tamam Umar Akele Mein Tujh Se Baatein Ki; Tamam Umar Tere Ru-Ba-Ru Khamosh Rahe!

Zindagi Hum Se Tere Naaz Uthaye Na Gaye;

Saans Lene Ki Faqat Rasm Ada Karte The!

Koi Zameen Hai To Koi Aasman Hai;

Har Shakhs Apni Zaat Mein Ik Daastan Hai!

Un Se Milte The To Sab Kehte The Kyon Milte Ho;

Ab Yahi Log Na Milne Ka Sabab Puchte Hain!

Aankh Ki Ye Ek Hasrat Thi Ki Bas Poori Hui;

Aansuon Mein Bheeg Jaane Ki Hawas Poori Hui!

Tum Aise Achchhe Ki Achchhe Nahi Kisi Ke Saath;

Main Woh Bura Ki Kisi Ka Bura Nahi Karta!

Ye Dushmani Hai Saaqi Ya Dosti Hai Saaqi;

Auron Ko Jaam Dena Mujh Ko Dikha Dikha Ke!

Main To Ghazal Suna Ke Akela Khada Raha;

Sab Apne Apne Chahne Walon Mein Kho Gaye!

End of content

No more pages to load

Next page