
Ab Ek Pal Ka Tughafil Bhi Seh Nahi Sakte;
Hum Ahal-e-Dil Kabhi Aadi The Intezar Ke Bhi!
*Tughafil: Laziness
*Ahal-e-Dil: People of generous

Ilam Na Aave Vich Shumar, Iko Alaf Tere Darkar;
Jandi Umar Nahi Aitbar, Ilmon Bas Karin O Yaar!

Dua Karo Ki Main Us Ke Liye Dua Ho Jaaun;
Wo Ek Shakhs Jo Dil Ko Dua Sa Lagta Hai!

Sair Kar Duniya Ki Ghafil Zindagani Phir Kahan;
Zindagi Gar Kuch Rahi To Ye Jawani Phir Kahan!

Be-Niyazi Hadd Se Guzri Banda-Parvar Kab Talak;
Hum Kahenge Hal-e-Dil Aur Aap Farmavenge Kya!
*Be-Niyazi: Unconcern
*Banda-Parvar: Powerful man

Bada Azar-e-Jan Hai Wo Agarche Mehrban Hai Wo,
Agarche Mehrban Hai Wo Bada Azar-e-Jaan Hai Wo;
Misal-e-Aasman Hai Wo Mujhe Zarkhez Karta Hai,
Mujhe Zarkhez Karta Hai Misal-e-Aasman Hai Wo!
*Azar-e-jan: Torment of life, *Agarche: Granted that

Ye Ada-e-Be-Niyazi Tujhe Bewafa Mubarak;
Magar Aisi Be-Rukhi Kya Ki Salaam Tak Na Pahunche!
*Ada-e-Be-Niyazi: Air of carelessness

Kaun Sa Zakhm Tha Jo Taaza Na Tha,
Itna Gham Milega Andaza Na Tha;
Aap Ki Jheel Si Aankhon Ka Kya Kasoor,
Doobne Wale Ko Hi Gehrai Ka Andaza Na Tha!

Tum Parindon Se Zyada To Nahi Ho Azaad;
Shaam Hone Ko Hai Ab Ghar Ki Taraf Laut Chalo!

Doston Ko Bhi Mile Dard Ki Daulat Ya Rab;
Mera Apna Hi Bhala Ho Mujhe Manzoor Nahi!