
Kya Kahun Us Se Ki Jo Baat Samajhta Hi Nahi;
Wo To Milne Ko Mulaqat Samajhta Hi Nahi!

Meri Rooh Ki Haqeeqat Mere Aansuon Se Pucho,
Mera Majlisi Tabassum Mera Tarjuman Nahi Hai;
Main Kis Ke Haath Pe Apna Lahu Talaash Karun,
Tamaam Shehar Ne Pehne Hue Hain Dastane!

Dost Gham Khwari Mein Mere Se Farmavenge Kya;
Zakhm Ke Bharne Talak Nakhun Na Badh Javenge Kya!

Gar Kis Diljale Ki Hai Ye Falak,
Shola Ek Subah Yaan Se Uthta Hai;
Khana-e-Dil Se Zinhar Na Ja,
Koi Aise Makaan Se Uthta Hai!
*Zinhar :Quarter, Refuge, Mercy

Jis Ahd Mein Lut Jaye Faqeeron Ki Kamai,
Us Ahd Ke Sultan Se Kuch Bhool Hui Hai;
Ai Adam Ke Musafiro Hoshiyar,
Raah Mein Zindagi Khadi Hogi!

Kahan Ke Mahir-o-Kamil Ho Tum Hunar Mein 'Adil'
Tumhare Kaam To Parvar Deegar Karta Hai!

Ujad Jaye Jo Iss Duniya Ki Zidd Mein,
Woh Dil Abaad Rakhna Shayari Hai;
Mohabbat Hai Kisi Ka Yaad Aana,
Kisi Ko Yaad Rakhna Shayari Hai!

Betab Sa Phirta Hai Kayi Roz Se 'Aasi';
Bechare Ne Phir Tum Ko Kahin Dekh Liya Hai!

Har Ek Aankh Mein Hoti Hai Muntazir Koi Aankh;
Har Ek Dil Mein Kahin Kuch Jagah Nikalti Hai!

Zubaan Khamosh, Aankhon Mei Nami Hogi,
Yahi Bas Meri Ek Dastan-e-Zindagi Hogi;
Bharne Ko To Har Zakham Bhar Jayega,
Kaise Bharegi Wo Jagah Jahan Teri Kami Hogi!