
Ye Fitna Aadmi Ki Khana-Veerani Ko Kya Kam Hai;
Hue Tum Dost Jis Ke Dushman Us Ka Aasman Kyon Ho!

Zor Qismat Pe Chal Nahi Sakta;
Khamoshi Ikhtiyar Karta Hun!

Muddat Ke Baad Aaj Use Dekh Kar 'Munir';
Ek Baar Dil To Dhadka Magar Phir Sambhal Geya!

Ishq Hai Tarz-o-Taur Ishq Ke Taeen,
Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq;
Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai,
Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq!

Bahut Mushkil Hai Duniya Ka Sanwarna;
Teri Zulfon Ka Pech-o-Kham Nahi Hai!
*Pech-o-Kham:Curves

Milna Tha Ittefaq Bichhadna Naseeb Tha;
Wo Utni Door Ho Geya Jitna Qareeb Tha!

Dard-e-Gham-e-Firaq Se Aankhen Hain Ashk-Bar Kya,
Rone Se Hogi Mukhtasar Zahmat-e-Intezar Kya;
Zakhmon Se Chuur Jo Na Ho Seena-e-Dagh-Dar Kya,
Jis Mein Na Ho Hujum-e-Gul Kehiye Use Bahar Kya!

Dekha Hai Zindagi Ko Kuch Itne Qareeb Se;
Chehre Tamaam Lagne Lage Hain Ajeeb Se!

Dushmanon Se Pyaar Hota Jayega;
Doston Ko Aazmate Jaiye!

Nigah-e-Bad-Guman Hai Aur Main Hun,
Fareb-e-Aashiyan Hai Aur Main Hun;
Shareek-e-Be-Kasi Aaye Kahan Se,
Zameen Par Aasman Hai Aur Main Hun!