Mujhse Mere Gunahon Ka Hisab Na Maang Ai Khuda;
Meri Taqdeer Likhne Mein Kalam Teri Hi Chali Hai!
Chhod Umeed Use Ab Nahi Aana Shayad;
Aana Bhi Hai To Nahi Hum Ko Batana Shayad!
Hai Aaj Andhera Har Janib Aur Noor Ki Baatein Karte Hain;
Nazdeek Ki Baaton Se Khaaif Hum Door Ki Baatein Karte Hain!
*Khaaif - Afraid, Frightened, Timid
Woh Kab Aayein Khuda Jaane Sitaro Tum To So Jao;
Hue Hain Hum To Deewane Sitaro Tum To So Jao!
Yahi Wafa Ka Sila Hai To Koi Baat Nahi;
Ye Dard Tum Ne Diya Hai To Koi Baat Nahi!
Dil Mein Ho Gar Khwahish-e-Tasveer-e-Ibrat Dekhna;
Khush-Naseebi Bantne Walon Ki Qismat Dekhna!
Mehfil Se Uthane Ke Saza-Var Humin The;
Sab Phool Tere Baag The Ik Khaar Humin The!
Dekhta Hun Tu Nahi Rahm Ke Qabil Koi;
Sochta Hun To Hazaron Taras Aata Hai!
Na-Muradi Apni Qismat Gumrahi Apna Naseeb;
Karvaan Ki Khair Ho Hum Karvaan Tak Aa Gaye!
Ye Hadsa Hai Magar Us Taraf Hua Bhi Nahi;
Judaa Hua Bhi To Us Se Jo Jaanta Bhi Nahi!



