Maine Puchha Ki Hai Kya Shaghl To Hans Kar Bole;
Aaj Kal Hum Tere Marne Ki Dua Karte Hain!
* Shaghl - Hobby
Bada Meetha Nasha Tha Unki Yaadon Ka;
Waqt Guzarta Gaya Hum Adi Hote Gaye!
Do Char Nahi Mujh Ko Bas Ek Dikha Do;
Wo Shakhs Jo Bahar Se Bhi Andar Ki Tarah Ho!
Puchte The Na Kitna Pyaar Hai Tumhein Hum Se;
Lo Ab Gin Lo Baarish Ki Ye Boonde!
Agar Tum Ho To Ghabrane Ki Baat Thodi Hai;
Zara Si Boonda-Bandi Hai Barsaat Thodi Hai!
Yeh Raah-e-Ishq Hai Kadam Aise Hi Uthte Hain;
Mohabbat Sochne Walo Ke Bas Ki Baat Thodi Hai!
Zindagi Ko Jeena Hai To Pareshani To Hogi Hi;
Varna Marne Ke Baad To Dard Ka Bhi Ehsas Nahi Hota!
Mud Ke Dekha To Humein Chhod Ke Jaati Thi Hayat;
Hum Ne Jaana Tha Koi Bojh Gira Hai Sar Se!
Tum Ko Aata Hai Pyaar Par Gussa;
Mujh Ko Gusse Pe Pyaar Aata Hai!
Andhera Itna Hai Ab Shehar Ke Muhafiz Ko;
Har Ek Raat Koi Ghar Jalana Padta Hai!



