Dekhen Qareeb Se Bhi To Achcha Dikhai De;
Ik Aadmi To Shehar Mein Aisa Dikhai De!
Wo Kare Baat To Har Lafz Se Khushboo Aaye;
Aisi Boli Wahi Bole Jise Urdu Aaye!
Mohabbat Ki To Koi Hadd, Koi Sarhad Nahi Hoti;
Hamare Darmiyan Ye Fasle Kaise Nikal Aaye!
Main To Masjid Se Chala Tha Kisi Kaaba Ki Taraf;
Dukh To Ye Hai Ki Ibadat Meri Badnam Hui!
Hazaar Rukh Tere Milne Ke Hain Na Milne Mein;
Kise Firaq Kahun Aur Kise Visal Kahun!
Patthar Ke Jigar Walo Gham Mein Wo Ravani Hai;
Khud Raah Bana Lega Behta Hua Paani Hai!
Umar To Saari Kati Ishq-e-Butan Mein 'Momin';
Akhiri Waqt Mein Kya Khaak Musalman Honge!
Zindagi Kya Hai Aaj Ise Ai Dost;
Soch Len Aur Udaas Ho Jayein!
Kise Apna Banayein Koi Is Qabil Nahi Milta;
Yahan Patthar Nahut Milte Hain Lekin Dil Nahi Milta!
Kamar Bandhe Hue Chalne Ko Yaan Sab Yaar Baithe Hain;
Bahut Aage gaye Baaki Jo Hain Tayaar Baithe Hain!



