Ajab Andaaz Ke Shaam-o-Sahar Hain;
Koi Tasveer Ho Jaise Adhuri!
Kabhi To Aankhon Mein Unki Aabadiyan Khilengi;
Wo Bastiyan Umar Bhar Jinhe Zer-e-Aab Dekha!
* Zer-e-Aab - Submerged
Jaane Kis Mod Pe Le Aayi Humein Teri Talab;
Sar Pe Sooraj Bhi Nahi Raah Mein Saaya Bhi Nahi!
Kehte Kehte Kuch Badal Deta Hai Kyon Baaton Ka Rukh;
Kyon Khud Apne Aap Ke Bhi Saath Wo Sachha Nahi!
Bahut Pahle Se Un Qadmon Ki Aahat Jaan Lete Hain;
Tujhe Ai Zindagi Hum Duur Se Pahchan Lete Hain!
Qais Jungle Mein Akela Hai Mujhe Jaane Do;
Khoob Guzregi Jo Mil Baithenge Deewane Do!
Kah Raha Hai Shor-e-dariya Se Samundar Ka Sukut;
Jis Ka Jitna Zarf Hai Utna Hi Vo Khamosh Hai!
* Sukut - Silence
* Zarf - Vase, Capability
Inhin Pattharon Pe Chal Kar Agar Aa Sako To Aao;
Mere Ghar Ke Raste Mein Koi Kahkashan Nahin Hai!
Is Zindagi Mein Itni Faraghat Kise Naseeb;
Itna Na Yaad Aa Ki Tujhe Bhool Jayein Hum!
* Faraghat - Cessation from labour, Interval, Time for rest, Comfort
Maktab-e-Ishq Ka Dastur Nirala Dekha;
Us Ko Chutti Na Mili Jis Ko Sabaq Yaad Hua!
* Maktab-e-Ishq - School of Love



