Jo Log Maut Ko Zaalim Qarar Dete Hain;
Khuda Milaye Unhein Zindagi Ke Maaron Se!
Vasl Ka Din Aur Itna Mukhtasar;
Din Gine Jaate The Is Din Ke Liye!
Zindagi Hai Ya Koi Toofan Hai;
Hum To Is Jeene Ke Haathon Mar Chale!
Bachchon Ke Chhote Hathon Ko Chand Sitare Chune Do;
Char Kitabein Padh Kar Ye Bhi Hun Jaise Ho Jayenge!
Mujhe Zindagi Ki Dua Dene Wale;
Hansi Aa Rahi Hai Teri Sadgi Par!
Apne Chehre Se Jo Zahir Hai Chhupayein Kaise;
Teri Marzi Ke Mutabiq Nazar Aayein Kaise!
Hum Se Kya Ho Saka Mohabbat Mein;
Khair Tum Ne To Bewafai Ki!
Koi Kyon Kisi Ka Lubhaye Dil Koi Kya Kisi Se Lagaye Dil;
Wo Jo Behte The Dawa-e-Dil Wo Dukan Apni Badha Gaye!
Wo Aks Ban Ke Meri Chashm-e-Tar Mein Rehta Hai;
Ajeeb Shakhs Hai Paani Ke Ghar Mein Rehta Hai!
Aankhein Khuli To Jaag Uthi Hasratein Tamam;
Us Ko Bhi Kho Diya Jise Paaya Tha Khwab Mein!



