Zindagi Zinda-Dilli Ka Hai Naam;
Murda Dil Khaak Jiya Karte Hain!
Jo Guzari Na Ja Saki Hum Se;
Hum Ne Woh Zindagi Guzari Hai!
Surkh-Ru Hota Hai Insan Thokarein Khane Ke Baad;
Rang Laati Hai Hina Patthar Pe Pis Jaane Ke Baad!
Kuch Asoolon Ka Nasha Tha Kuch Muqaddas Khwab The;
Har Zamane Mein Shahadat Ke Yahi Asbab The!
Is Sadgi Pe Kaun Na Mar Jaaye Ai Khuda;
Ladte Hain Aur Haath Mein Talwar Bhi Nahi!
Ishq Ke Sholon Ko Bhadkao Ki Kuch Raat Kate;
Dil Ke Angare Ko Dahkao Ki Kuch Raat Kate!
Bhanp Hi Lenge Ishara Sar-e-Mehfil Jo Kiya;
Tadne Wale Qayamat Ki Nazar Rakhte Hain!
Uski Yaad Aayi Haii Saanson Zara Ahista Chalo;
Dhadkano Se Bhi Ibadat Mein Khalal Padta Hai!
Is Tarah Zindagi Ne Diya Hai Hamara Saath;
Jaise Koi Nibah Raha Ho Raqib Se!
Ik Lafz-e-Mohabbat Ka Adna Ye Fasana Hai;
Simte To Dil-e-Aashiq Phaile To Zamana Hai!



