Dariya Ho Ya Pahad Ho Takrana Chahiye;
Jab Tak Na Saans Toote Jiye Jana Chahiye!
Din Hua Hai To Raat Bhi Hogi,
Ho Mat Udaas Kabhi To Baat Bhi Hogi;
Itne Pyaar Se Dosti Ki Hai,
Zindagi Rahi To Mulaqat Bhi Hogi!
Mujhe Khabar Nahi Gham Kya Hai Aur Khushi Kya Hai;
Ye Zindagi Ki Hai Surat To Zindagi Kya Hai!
Tasadduq Is Karam Ke Main Kabhi Tanha Nahi Rehta;
Ki Jis Din Tum Nahi Aate Tumhari Yaad Aati Hai!
Ab To Khushi Ka Gham Hai Na Gham Ki Khushi Mujhe;
Be-His Bana Chuki Hai Bahut Zindagi Mujhe!
*Be-His - Insensitive
Allah Allah Husn Ki Ye Parda-Dari Dekhiye;
Bhed Jis Ne Kholna Chaha Woh Deewana Hua!
Un Ka Gham Un Ka Tasavvur Un Ki Yaad;
Kat Rahi Hai Zindagi Aaram Se!
Hum Ishq Mein Hain Fard To Tum Husn Mein Yakta;
Hum Sa Bhi Nahi Ek Jo Tum Sa Nahi Koi!
Hum Apna Ishq Chamkayein Tum Apna Husn Chamkao;
Ki Hairaan Dekh Kar Aalam Humein Bhi Ho Tumhein Ho!
Agaah Apni Maut Se Koi Bashar Nahi;
Samaan Sau Baras Ka Hai Pal Ki Khabar Nahi!



