Har Aadmi Mein Hote Hain Dus Bees Aadmi;
Jis Ko Bhi Dekhna Ho Kayi Baar Dekhna!
Katti Hai Aarzoo Ke Sahare Pe Zindagi;
Kaise Kahun Kisi Ki Tamanna Na Chahiye!
Tum Mohabbat Ko Khel Kehte Ho;
Hum Ne Barbaad Zindagi Kar Li!
Zindagi Kya Kisi Muflis Ki Qaba Hai Jis Mein;
Har Ghadi Dard Ke Paiband Lage Jaate Hain!
Ulfat Mein Barabar Hai Wafa Ho Ki Jafa Ho;
Har Baat Mein Lazzat Hai Agar Dil Mein Maza Ho!
Na So Saka Hun Na Shab Jaag Kar Guzari Hai;
Ajeeb Din Hain Sukoon Hai Na Be-Qarari Hai!
Sakiya Ek Nazar Jaam Se Pehle Pehle;
Hum Ko Jana Hai Kahin Sham Se Pehle Pehle!
Badi Azmat Se Khud Saqi Ne Ja Kar Peshwai Ki;
Sharabi Koi Mai-Khana Ke Andar Jab Musin Aaya!
* Musin - Old/Aged
Jo Apne Ghar Mein Hai Wo Hai Bazaar Mein Nahi;
Hona Kisi Ka Shehar Mein Hona Nahi Hai Aaj!
Dil Abhi Poori Tarah Toota Nahi;
Doston Ki Meharbani Chahiye!



