Layi Hai Kis Muqaam Pe Ye Zindagi Mujhe;
Mehsoos Ho Rahi Hai Khud Apni Kami Mujhe!
Maine Haathon Se Bujhai Hai Dehakti Hui Aag;
Apne Bachhe Ke Khilono Ko Bachane Ke Liye!
Jhooth Par Us Ke Bharosa Kar Liya,
Dhoop Itni Thi Ki Saya Kar Liya;
Ab Hamari Mushkilen Kuch Kam Hui,
Dushmano Ne Ek Chehra Kar Liya!
Yeh Kis Muqaam Pe Thehra Hai Kaarwan-e-Wafa;
Na Roshni Ki Kiran Hai Kahin Na Taaza Hawa!
Chala Gaya Hai Tassavuur Ki Sarhadon Se Pare;
Wo Ek Shakhs Jo Aksar Raha Hai Aankhon Mein!
Raat Ko Jeet To Paata Nahi Lekin Ye Charag;
Kam Se Kam Raat Ka Nuksaan Bahut Karta Hai!
Jaane Kyon Log Mera Naam Padha Karte Hain;
Maine Chehre Pe Tere Yun To Likha Kuch Hi Nahi!
Kya Ho Gaya Ise Ki Tujhe Dekhti Nahi;
Jee Chahta Hai Aag Laga Dun Nazar Ko Main!
Qubool Kaise Karun Un Ka Faisla Ki Ye Log;
Mere Khilaf Hi Mera Bayaan Maangte Hain!
Wo Nahi Bhoolta Jahan Jaun;
Haaye Main Kya Karun Kahan Jaun!



