Haseen To Aur Hain Lekin Koi Kahan Tujh Sa;
Jo Dil Jalaye Bahut Phir Bhi Dilruba Hi Lage!
Dil Ki Nazuk Dhadkano Ko Mere Sanam Tumne Dhadkana Sikha Diya;
Jab Se Mila Hai Tera Pyaar Dil Ko Gham Mein Bhi Muskurana Sikha Diya!
Zindagi Ek Haadsa Hai Aur Kaisa Haadsa;
Maut Se Bhi Khatam Jis Ka Silsila Hota Nahi!
Maana Ki Is Zameen Ko Na Gulzar Kar Sake;
Kuch Khaar Kam To Kar Gaye Guzre Jidhar Se Hum!
Usne Hanste Hue Toda Tha Hamara Rishta;
Hum Sabhi Ko Ye Batate Hue Ro Dete Hain!
Seene Mein Jalan Aankhon Mein Toofan Sa Kyon Hai;
Is Shehar Mein Har Shakhs Pareshan Sa Kyon Hai!
Koi Kyon Kisi Ka Lunbhaye Dil, Koi Kya Kisi Se Lagaye Dil;
Wo Jo Bechte The Dawa-e-Dil, Wo Dukan Apni Badha Gaye!
Wahi Phir Mujhe Yaad Aane Lage Hain;
Jinhe Bhoolne Mein Zamane Lage Hain!
Yeh Alag Baat Hai Ki Dikhai Na De, Par Shamil Zaroor Hota Hai;
Khudkushi Karne Wale Ka Bhi, Koi Na Koi Qatil Zaroor Hota Hai!
Pucha Na Zindagi Mein Kisi Ne Bhi Dil Ka Haal;
Ab Shehar Bhar Mein Zikar Meri Khudkushi Ka Hai!



